mehfil mein aaj marsiya-khwani hi kyun na ho | महफ़िल में आज मर्सिया-ख़्वानी ही क्यूँ न हो

  - Munawwar Rana

mehfil mein aaj marsiya-khwani hi kyun na ho
aankhon se bahne deejie paani hi kyun na ho

nashshe ka ehtimaam se rishta nahin koi
paighaam us ka aaye zabaani hi kyun na ho

aise ye gham ki raat guzarna muhaal hai
kuchh bhi suna mujhe vo kahaani hi kyun na ho

koi bhi saath deta nahin umr-bhar yahan
kuchh din rahegi saath jawaani hi kyun na ho

is tishnagi ki qaid se jaise bhi ho nikaal
peene ko kuchh bhi chahiye paani hi kyun na ho

महफ़िल में आज मर्सिया-ख़्वानी ही क्यूँ न हो
आँखों से बहने दीजिए पानी ही क्यूँ न हो

नश्शे का एहतिमाम से रिश्ता नहीं कोई
पैग़ाम उस का आए ज़बानी ही क्यूँ न हो

ऐसे ये ग़म की रात गुज़रना मुहाल है
कुछ भी सुना मुझे वो कहानी ही क्यूँ न हो

कोई भी साथ देता नहीं उम्र-भर यहाँ
कुछ दिन रहेगी साथ जवानी ही क्यूँ न हो

इस तिश्नगी की क़ैद से जैसे भी हो निकाल
पीने को कुछ भी चाहिए पानी ही क्यूँ न हो

  - Munawwar Rana

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari