mujh ko gehraai mein mitti ki utar jaana hai
zindagi baandh le saamaan-e-safar jaana hai
ghar ki dahleez pe raushan hain vo bujhti aankhen
mujh ko mat rok mujhe laut ke ghar jaana hai
main vo mele mein bhatkata hua ik baccha hoon
jis ke maa baap ko rote hue mar jaana hai
zindagi taash ke patton ki tarah hai meri
aur patton ko bahr-haal bikhar jaana hai
ek be-naam se rishte ki tamannaa le kar
is kabootar ko kisi chat pe utar jaana hai
मुझ को गहराई में मिट्टी की उतर जाना है
ज़िंदगी बाँध ले सामान-ए-सफ़र जाना है
घर की दहलीज़ पे रौशन हैं वो बुझती आँखें
मुझ को मत रोक मुझे लौट के घर जाना है
मैं वो मेले में भटकता हुआ इक बच्चा हूँ
जिस के माँ बाप को रोते हुए मर जाना है
ज़िंदगी ताश के पत्तों की तरह है मेरी
और पत्तों को बहर-हाल बिखर जाना है
एक बे-नाम से रिश्ते की तमन्ना ले कर
इस कबूतर को किसी छत पे उतर जाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Munawwar Rana
our suggestion based on Munawwar Rana
As you were reading Ghar Shayari Shayari