achhi se achhi aab-o-hawa ke baghair bhi | अच्छी से अच्छी आब-ओ-हवा के बग़ैर भी - Munawwar Rana

achhi se achhi aab-o-hawa ke baghair bhi
zinda hain kitne log dava ke baghair bhi

saanson ka kaarobaar badan ki zarooratein
sab kuch to chal raha hai dua ke baghair bhi

barson se is makaan mein rahte hain chand log
ik doosre ke saath wafa ke baghair bhi

ab zindagi ka koi bharosa nahin raha
marne lage hain log qaza ke baghair bhi

hum be-qusoor log bhi dilchasp log hain
sharminda ho rahe hain khata ke baghair bhi

charagari bataaye agar kuch ilaaj hai
dil tootne lage hain sada ke baghair bhi

अच्छी से अच्छी आब-ओ-हवा के बग़ैर भी
ज़िंदा हैं कितने लोग दवा के बग़ैर भी

साँसों का कारोबार बदन की ज़रूरतें
सब कुछ तो चल रहा है दुआ के बग़ैर भी

बरसों से इस मकान में रहते हैं चंद लोग
इक दूसरे के साथ वफ़ा के बग़ैर भी

अब ज़िंदगी का कोई भरोसा नहीं रहा
मरने लगे हैं लोग क़ज़ा के बग़ैर भी

हम बे-क़ुसूर लोग भी दिलचस्प लोग हैं
शर्मिंदा हो रहे हैं ख़ता के बग़ैर भी

चारागरी बताए अगर कुछ इलाज है
दिल टूटने लगे हैं सदा के बग़ैर भी

- Munawwar Rana
2 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Munawwar Rana

As you were reading Shayari by Munawwar Rana

Similar Writers

our suggestion based on Munawwar Rana

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari