kaash ki jo pahchaana hota apnon ko begaano'n ko | काश कि जो पहचाना होता अपनों को बेगानों को

  - Muntazir Firozabadi

kaash ki jo pahchaana hota apnon ko begaano'n ko
ashkon se phir thode hi bharte apne hi paimaanon ko

mere dil ko sab ne samjha ek kiraye ka kamra
jaane kitne zakham diye the main ne bhi mehmaanon ko

phool sa naazuk rishta tha vo ab tum us ko jaane do
kaanton se bhar rakha tha ham ne apne gul-daano ko

saare ghar ki raunaq tha jo vo bhi ham ko chhod gaya
kyun gaali dete rahte hain kamron ko daalaanon ko

ab jab aage hi badhna hai mitti daalen khatm karein
aakhir kab tak dhoyenge ham in pyaare afsaano ko

kashti jab ho beech safar mein ishq samundar sehra kya
manzil ki jaanib ab dekho chhodo bhi toofaanon ko

tehzeeben to ye kahti hain vasl ki khaatir zabt karo
zabt se hota kya hi haasil maar diya armaanon ko

jannat mein bhi dozakh ka hi sog manaate rahte hain
khushiyaan raas nahin aati hain ham jaise insaano ko

qatl na hoga tum se mera main apna hi dushman hoon
aag laga do bandookon mein fenko teer-kamaanon ko

काश कि जो पहचाना होता अपनों को बेगानों को
अश्कों से फिर थोड़े ही भरते अपने ही पैमानों को

मेरे दिल को सब ने समझा एक किराए का कमरा
जाने कितने ज़ख़्म दिए थे मैं ने भी मेहमानों को

फूल सा नाज़ुक रिश्ता था वो अब तुम उस को जाने दो
काँटों से भर रक्खा था हम ने अपने गुल-दानों को

सारे घर की रौनक़ था जो वो भी हम को छोड़ गया
क्यों गाली देते रहते हैं कमरों को दालानों को

अब जब आगे ही बढ़ना है मिट्टी डालें ख़त्म करें
आख़िर कब तक ढोएँगे हम इन प्यारे अफ़्सानों को

कश्ती जब हो बीच सफ़र में इश्क़ समुंदर सहरा क्या
मंज़िल की जानिब अब देखो छोड़ो भी तूफ़ानों को

तहज़ीबें तो ये कहती हैं वस्ल की ख़ातिर ज़ब्त करो
ज़ब्त से होता क्या ही हासिल मार दिया अरमानों को

जन्नत में भी दोज़ख़ का ही सोग मनाते रहते हैं
ख़ुशियाँ रास नहीं आतीं हैं हम जैसे इंसानों को

क़त्ल न होगा तुम से मेरा मैं अपना ही दुश्मन हूँ
आग लगा दो बंदूक़ों में फेंको तीर-कमानों को

  - Muntazir Firozabadi

Gulshan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muntazir Firozabadi

As you were reading Shayari by Muntazir Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Muntazir Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Gulshan Shayari Shayari