khush bahut tha ek lamha shaadmaani dekh kar | ख़ुश बहुत था एक लम्हा शादमानी देख कर - Muntazir Firozabadi

khush bahut tha ek lamha shaadmaani dekh kar
gham hua mujh ko yun gham ki tarjumaani dekh kar

jo guzarti ja rahi hai naam us ka umr hai
zindagi hairaan hai is ki rawaani dekh kar

haaye is sayyaad ne deewaar rangwa di ajeeb
ud rahe hain saare panchi aasmaani dekh kar

jugnuon ne aaj daawat par bulaaya chaand ko
chaand shab bhar timtimaaya mezbaani dekh kar

aankhen meri theen labaalab gard ka pahra tha yaa
vo ye samjha dhoka hai sehra mein paani dekh kar

kya maza gar ishq mein thodi bahut doori na ho
us ne khud se ye kaha meri nishaani dekh kar

ek to dil sha'iraana aur phir majrooh bhi
chain mujh ko aayega bas baaghbaani dekh kar

mutthiyon mein khaak le kar aa gaye hain sab ke sab
kar do mujh ko dafn meri be-makaani dekh kar

vo mohabbat ke maani bas bataata hi raha
ishq phir jaata raha dasht-e-maani dekh kar

raaz thode aao khole us khuda ke muntazir
is zameen par aasmaan ki hukmraani dekh kar

ख़ुश बहुत था एक लम्हा शादमानी देख कर
ग़म हुआ मुझ को यूँ ग़म की तर्जुमानी देख कर

जो गुज़रती जा रही है नाम उस का उम्र है
ज़िंदगी हैरान है इस की रवानी देख कर

हाए इस सय्याद ने दीवार रंगवा दी अजीब
उड़ रहे हैं सारे पंछी आसमानी देख कर

जुगनुओं ने आज दावत पर बुलाया चाँद को
चाँद शब भर टिमटिमाया मेज़बानी देख कर

आँखें मेरी थीं लबालब गर्द का पहरा था याँ
वो ये समझा धोका है सहरा में पानी देख कर

क्या मज़ा गर इश्क़ में थोड़ी बहुत दूरी न हो
उस ने ख़ुद से ये कहा मेरी निशानी देख कर

एक तो दिल शाइ'राना और फिर मजरूह भी
चैन मुझ को आएगा बस बाग़बानी देख कर

मुट्ठियों में ख़ाक ले कर आ गए हैं सब के सब
कर दो मुझ को दफ़्न मेरी बे-मकानी देख कर

वो मोहब्बत के मआ'नी बस बताता ही रहा
इश्क़ फिर जाता रहा दश्त-ए-मआ'नी देख कर

राज़ थोड़े आओ खोलें उस ख़ुदा के मुंतज़िर
इस ज़मीं पर आसमाँ की हुक्मरानी देख कर

- Muntazir Firozabadi
1 Like

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muntazir Firozabadi

As you were reading Shayari by Muntazir Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Muntazir Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari