vo qaza ke ranj mein jaan den ki namaaz jin ki qaza hui | वो क़ज़ा के रंज में जान दें कि नमाज़ जिन की क़ज़ा हुई - Muztar Khairabadi

vo qaza ke ranj mein jaan den ki namaaz jin ki qaza hui
tire mast-e-baada-e-shauq ne na kabhi padhi na ada hui

tire daur-dauraa-e-ishq mein meri ek rang se kat gai
na sitam hua na karam hua na jafaa hui na wafa hui

mujhe ghair-e-izz-o-niyaaz ne tire dar pe ja ke jhuka diya
na to koi ahad likha gaya na to koi rasm ada hui

mera dil bhi tha meri jaan bhi thi na wahi raha na yahi rahi
mujhe kya khabar ki vo kya hua mujhe kya khabar ki ye kya hui

meri umr muztar-e-khasta-dil kati ranj-o-dard-o-firaq mein
na kisi se meri dava hui na dava se mujh ko shifaa hui

वो क़ज़ा के रंज में जान दें कि नमाज़ जिन की क़ज़ा हुई
तिरे मस्त-ए-बादा-ए-शौक़ ने न कभी पढ़ी न अदा हुई

तिरे दौर-दौरा-ए-इश्क़ में मिरी एक रंग से कट गई
न सितम हुआ न करम हुआ न जफ़ा हुई न वफ़ा हुई

मुझे ग़ैर-ए-इज्ज़-ओ-नियाज़ ने तिरे दर पे जा के झुका दिया
न तो कोई अहद लिखा गया न तो कोई रस्म अदा हुई

मिरा दिल भी था मिरी जाँ भी थी न वही रहा न यही रही
मुझे क्या ख़बर कि वो क्या हुआ मुझे क्या ख़बर कि ये क्या हुई

मिरी उम्र 'मुज़्तर'-ए-ख़स्ता-दिल कटी रंज-ओ-दर्द-ओ-फ़िराक़ में
न किसी से मेरी दवा हुई न दवा से मुझ को शिफ़ा हुई

- Muztar Khairabadi
6 Likes

Jafa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muztar Khairabadi

As you were reading Shayari by Muztar Khairabadi

Similar Writers

our suggestion based on Muztar Khairabadi

Similar Moods

As you were reading Jafa Shayari Shayari