dil mubtala-e-hijr rifaqat mein rah gaya
lagta hai koi farq mohabbat mein rah gaya
is ghar ke do makin the ik ped aur main
ye hijr to kisi ki sharaarat mein rah gaya
ik baar man' karti hui shaam se to pooch
jo bhi juda hua vo haqeeqat mein rah gaya
mumkin tha tujh ko cheen hi leta jahaan se
lekin main kya karoon main mohabbat mein rah gaya
ab tu hi meri khaali hatheli ki laaj rakh
mujh se to koi farq ibadat mein rah gaya
tujh par hai koi zoom na khud par yaqeen nadeem
kuchh din ka ham mein pyaar to aadat mein rah gaya
दिल मुब्तला-ए-हिज्र रिफ़ाक़त में रह गया
लगता है कोई फ़र्क़ मोहब्बत में रह गया
इस घर के दो मकीन थे इक पेड़ और मैं
ये हिज्र तो किसी की शरारत में रह गया
इक बार मनअ' करती हुई शाम से तो पूछ
जो भी जुदा हुआ वो हक़ीक़त में रह गया
मुमकिन था तुझ को छीन ही लेता जहान से
लेकिन मैं क्या करूँ मैं मोहब्बत में रह गया
अब तू ही मेरी ख़ाली हथेली की लाज रख
मुझ से तो कोई फ़र्क़ इबादत में रह गया
तुझ पर है कोई ज़ोम न ख़ुद पर यक़ीं 'नदीम'
कुछ दिन का हम में प्यार तो आदत में रह गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha
our suggestion based on Nadeem Bhabha
As you were reading Love Shayari Shayari