bahut shiddat se jo qaaim hua tha
vo rishta ham mein shaayad jhooth ka tha
mohabbat ne akela kar diya hai
main apni zaat mein ik qaafila tha
meri aankhon mein baarish ki ghutan thi
tumhaare paanv baadal choomta tha
tumhaari hi gali ka waqia hai
main pehli baar jab tanhaa hua tha
khujuroon ke darakhton se bhi ooncha
mere dil mein tumhaara martaba tha
mohabbat is liye bhi ki gai thi
hamaara she'r kehna mas'ala tha
mujhe ik phool ne samjhaai duniya
jo tere sabz baagon mein khila tha
zuhoor-e-aadam-o-hawwa se pehle
hamaare vaaste sab kuchh naya tha
zameen par jab zameeni masale the
to baarish bhi mukammal waqia tha
qadam uthne mein kitni barkaten theen
aur un haathon mein kaisa zaa'ika tha
phir is ke ba'ad raaste mar gaye the
main bas ik saans lene ko ruka tha
बहुत शिद्दत से जो क़ाएम हुआ था
वो रिश्ता हम में शायद झूट का था
मोहब्बत ने अकेला कर दिया है
मैं अपनी ज़ात में इक क़ाफ़िला था
मिरी आँखों में बारिश की घुटन थी
तुम्हारे पाँव बादल चूमता था
तुम्हारी ही गली का वाक़िआ' है
मैं पहली बार जब तन्हा हुआ था
खुजूरों के दरख़्तों से भी ऊँचा
मिरे दिल में तुम्हारा मर्तबा था
मोहब्बत इस लिए भी की गई थी
हमारा शे'र कहना मसअला था
मुझे इक फूल ने समझाई दुनिया
जो तेरे सब्ज़ बाग़ों में खिला था
ज़ुहूर-ए-आदम-ओ-हव्वा से पहले
हमारे वास्ते सब कुछ नया था
ज़मीं पर जब ज़मीनी मसअले थे
तो बारिश भी मुकम्मल वाक़िआ' था
क़दम उठने में कितनी बरकतें थीं
और उन हाथों में कैसा ज़ाइक़ा था
फिर इस के बा'द रस्ते मर गए थे
मैं बस इक साँस लेने को रुका था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha
our suggestion based on Nadeem Bhabha
As you were reading Alone Shayari Shayari