shadeed giryaa ka matlab bata raha tha hamein
vo ro raha tha ki rona sikha raha tha hamein
ham us ke utthe hue haath ki taraf bhaage
pata chala ki vo rasta dikha raha tha hamein
pahaad us ke ilaaqe mein dher hote hain
vo apne gaav ki baatein suna raha tha hamein
ham apne aap ko waisa bana samajh rahe the
hamaare baare mein jaisa bata raha tha hamein
zaroor us ka koi pyaas se mara hoga
vo kitne pyaar se paani pila raha tha hamein
bujha raha tha charaagon ko apni saanson se
aur apne noor ki lau se jala raha tha hamein
शदीद गिर्या का मतलब बता रहा था हमें
वो रो रहा था कि रोना सिखा रहा था हमें
हम उस के उट्ठे हुए हाथ की तरफ़ भागे
पता चला कि वो रस्ता दिखा रहा था हमें
पहाड़ उस के इलाक़े में ढेर होते हैं
वो अपने गाँव की बातें सुना रहा था हमें
हम अपने आप को वैसा बना समझ रहे थे
हमारे बारे में जैसा बता रहा था हमें
ज़रूर उस का कोई प्यास से मरा होगा
वो कितने प्यार से पानी पिला रहा था हमें
बुझा रहा था चराग़ों को अपनी साँसों से
और अपने नूर की लौ से जला रहा था हमें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha
our suggestion based on Nadeem Bhabha
As you were reading Jalwa Shayari Shayari