main khajooron-bhare seharaaon mein dekha gaya hoon | मैं खुजूरों-भरे सहराओं में देखा गया हूँ

  - Nadeem Bhabha

main khajooron-bhare seharaaon mein dekha gaya hoon
takht ke ba'ad tire paanv mein dekha gaya hoon

dafn hoti hui jheelon mein thikaane hain mere
khushk hote hue daryaon mein dekha gaya hoon

masjidoon aur mazaaron mein mere charche hain
mandiron aur kaleesaon mein dekha gaya hoon

lamha bhar ko mere sar par koi baadal aaya
kehne waalon ne kaha chaanv mein dekha gaya hoon

phir mujhe khud bhi khabar ho na saki main hoon kahaan
aakhiri baar tire gaav mein dekha gaya hoon

vasl ke teen sau terah mein kahi hoon maujood
hijr ke maarka-aaraaon mein dekha gaya hoon

मैं खुजूरों-भरे सहराओं में देखा गया हूँ
तख़्त के बा'द तिरे पाँव में देखा गया हूँ

दफ़्न होती हुई झीलों में ठिकाने हैं मिरे
ख़ुश्क होते हुए दरियाओं में देखा गया हूँ

मस्जिदों और मज़ारों में मिरे चर्चे हैं
मंदिरों और कलीसाओं में देखा गया हूँ

लम्हा भर को मिरे सर पर कोई बादल आया
कहने वालों ने कहा छाँव में देखा गया हूँ

फिर मुझे ख़ुद भी ख़बर हो न सकी मैं हूँ कहाँ
आख़िरी बार तिरे गाँव में देखा गया हूँ

वस्ल के तीन सौ तेरह में कहीं हूँ मौजूद
हिज्र के मारका-आराओं में देखा गया हूँ

  - Nadeem Bhabha

Mashwara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Bhabha

As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Bhabha

Similar Moods

As you were reading Mashwara Shayari Shayari