safar ki dhool ko chehre se saaf karta raha
main us gali ka musalsal tawaaf karta raha
ye meri aankh ki masjid hai paanv dhyaan se rakh
ki is mein khwaab koi etikaaf karta raha
main khud se pesh bhi aaya to intiha kar di
mujh aise shakhs ko bhi vo muaaf karta raha
aur ab khula ki vo kaaba nahin tira ghar tha
tamaam umr main jis ka tawaaf karta raha
main lau main lau hoon alaav main hoon alaav nadeem
so har charaagh mera e'tiraaf karta raha
सफ़र की धूल को चेहरे से साफ़ करता रहा
मैं उस गली का मुसलसल तवाफ़ करता रहा
ये मेरी आँख की मस्जिद है पाँव ध्यान से रख
कि इस में ख़्वाब कोई एतकाफ़ करता रहा
मैं ख़ुद से पेश भी आया तो इंतिहा कर दी
मुझ ऐसे शख़्स को भी वो मुआफ़ करता रहा
और अब खुला कि वो काबा नहीं तिरा घर था
तमाम उम्र मैं जिस का तवाफ़ करता रहा
मैं लौ मैं लौ हूँ अलाव मैं हूँ अलाव 'नदीम'
सो हर चराग़ मिरा ए'तिराफ़ करता रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha
our suggestion based on Nadeem Bhabha
As you were reading Anjam Shayari Shayari