ek sukhun ko bhool kar ek kalaam tha zaroor | एक सुख़न को भूल कर एक कलाम था ज़रूर - Nadeem Bhabha

ek sukhun ko bhool kar ek kalaam tha zaroor
mera to zikr hi na tha par tira naam tha zaroor

kaanp rahe the mere haath cheekh rahe the baam-o-dar
zahar agar nahin tha vo aakhiri jaam tha zaroor

yoonhi nahin tamaam umr sajde mein hi guzar gai
ishq ki is namaaz ka koi imaam tha zaroor

yaad abhi nahin humein zehan pe zor de chuke
tum hi se milne aaye the tum se hi kaam tha zaroor

tum ne jab us ki baat ki tum pe bhi pyaar aa gaya
chooma nahin tumhein miyaan garche maqaam tha zaroor

aap mujhe bhula chuke yaad to kijie janab
meri bhi ik shanaakht thi mera bhi naam tha zaroor

एक सुख़न को भूल कर एक कलाम था ज़रूर
मेरा तो ज़िक्र ही न था पर तिरा नाम था ज़रूर

काँप रहे थे मेरे हाथ चीख़ रहे थे बाम-ओ-दर
ज़हर अगर नहीं था वो आख़िरी जाम था ज़रूर

यूँही नहीं तमाम उम्र सज्दे में ही गुज़र गई
इश्क़ की इस नमाज़ का कोई इमाम था ज़रूर

याद अभी नहीं हमें ज़ेहन पे ज़ोर दे चुके
तुम ही से मिलने आए थे तुम से ही काम था ज़रूर

तुम ने जब उस की बात की तुम पे भी प्यार आ गया
चूमा नहीं तुम्हें मियाँ गरचे मक़ाम था ज़रूर

आप मुझे भुला चुके याद तो कीजिए जनाब
मेरी भी इक शनाख़्त थी मेरा भी नाम था ज़रूर

- Nadeem Bhabha
1 Like

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Bhabha

As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Bhabha

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari