raah mein chhod kar nahin jaata | राह में छोड़ कर नहीं जाता

  - Nadeem Bhabha

raah mein chhod kar nahin jaata
saath hota agar nahin jaata

ungaliyaan fer mere baalon mein
ye mera dard-e-sar nahin jaata

yun laga hoon tire gale se main
jis tarah koi dar nahin jaata

kyun mera aas-paas ghoomta hai
kyun ye nashsha utar nahin jaata

yun pada hoon tumhaari yaadon mein
jis tarah koi mar nahin jaata

kitna achha tha ham se pehle wahan
koi rasta agar nahin jaata

ishq itna bhi kya zaroori hai
koi be-ishq mar nahin jaata

राह में छोड़ कर नहीं जाता
साथ होता अगर नहीं जाता

उँगलियाँ फेर मेरे बालों में
ये मिरा दर्द-ए-सर नहीं जाता

यूँ लगा हूँ तिरे गले से मैं
जिस तरह कोई डर नहीं जाता

क्यों मिरा आस-पास घूमता है
क्यों ये नश्शा उतर नहीं जाता

यूँ पड़ा हूँ तुम्हारी यादों में
जिस तरह कोई मर नहीं जाता

कितना अच्छा था हम से पहले वहाँ
कोई रस्ता अगर नहीं जाता

इश्क़ इतना भी क्या ज़रूरी है
कोई बे-इश्क़ मर नहीं जाता

  - Nadeem Bhabha

Zulf Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Bhabha

As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Bhabha

Similar Moods

As you were reading Zulf Shayari Shayari