rooh haazir hai mere yaar koi masti ho | रूह हाज़िर है मिरे यार कोई मस्ती हो - Nadeem Bhabha

rooh haazir hai mere yaar koi masti ho
halka-e-raqs hai taiyyaar koi masti ho

mujh ko mitti ke piyaale mein pila taaza sharaab
jism hone laga be-kaar koi masti ho

chaar samton ne tire hijr ke ghunghroo baandhe
aur hum log bhi hain chaar koi masti ho

main man-o-too ke sahifon ki tilaavat karunga
be-wazoo hoon meri sarkaar koi masti ho

koi waiz na wazifa ki koi saum-o-salaat
jaan chhoote meri ik baar koi masti ho

tere ehsaas ki shiddat se bhara baitha hoon
ab na inkaar na iqaar koi masti ho

be-niyaazaana rahega tiri duniya mein faqeer
khwaab-o-khwaahish nahin darkaar koi masti ho

रूह हाज़िर है मिरे यार कोई मस्ती हो
हल्क़ा-ए-रक़्स है तय्यार कोई मस्ती हो

मुझ को मिट्टी के पियाले में पिला ताज़ा शराब
जिस्म होने लगा बे-कार कोई मस्ती हो

चार सम्तों ने तिरे हिज्र के घुंघरू बाँधे
और हम लोग भी हैं चार कोई मस्ती हो

मैं मन-ओ-तू के सहीफ़ों की तिलावत करूँगा
बे-वज़ू हूँ मिरी सरकार कोई मस्ती हो

कोई वाइज़ न वज़ीफ़ा कि कोई सौम-ओ-सलात
जान छूटे मिरी इक बार कोई मस्ती हो

तेरे एहसास की शिद्दत से भरा बैठा हूँ
अब न इंकार न इक़रार कोई मस्ती हो

बे-नियाज़ाना रहेगा तिरी दुनिया में फ़क़ीर
ख़्वाब-ओ-ख़्वाहिश नहीं दरकार कोई मस्ती हो

- Nadeem Bhabha
1 Like

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Bhabha

As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Bhabha

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari