tamaam umr jale aur raushni nahin ki
ye zindagi hai to phir ham ne zindagi nahin ki
sitam to ye hai ki mere khilaaf bolte hain
vo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki
jo dil mein aata gaya sidq-e-dil se likhta gaya
duaaein maangi hain main ne to shaayeri nahin ki
bas itna hai ki mera bakht dhal gaya aur phir
mere charaagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki
meri sipaah se duniya larzne lagti hai
magar tumhaari to main ne baraabari nahin ki
kuchh is liye bhi akela sa ho gaya hoon nadeem
sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki
तमाम उम्र जले और रौशनी नहीं की
ये ज़िंदगी है तो फिर हम ने ज़िंदगी नहीं की
सितम तो ये है कि मेरे ख़िलाफ़ बोलते हैं
वो लोग जिन से कभी मैं ने बात भी नहीं की
जो दिल में आता गया सिद्क़-ए-दिल से लिखता गया
दुआएँ माँगी हैं मैं ने तो शाएरी नहीं की
बस इतना है कि मिरा बख़्त ढल गया और फिर
मिरे चराग़ ने भी मुझ पे रौशनी नहीं की
मिरी सिपाह से दुनिया लरज़ने लगती है
मगर तुम्हारी तो मैं ने बराबरी नहीं की
कुछ इस लिए भी अकेला सा हो गया हूँ 'नदीम'
सभी को दोस्त बनाया है दुश्मनी नहीं की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha
our suggestion based on Nadeem Bhabha
As you were reading Life Shayari Shayari