main aise mod par apni kahaani chhod aaya hoon
kisi ki aankh mein paani hi paani chhod aaya hoon
abhi to us se milne ka bahaana aur karna hai
abhi to us ke kamre mein nishaani chhod aaya hoon
bas itna soch kar hi mujh ko apne paas tum rakh lo
tumhaare vaaste main hukmraani chhod aaya hoon
isee khaatir mere chaaron taraf faila hai sannaata
kahi main apne lafzon ke maani chhod aaya hoon
nadeem is gardish-e-aflaak ko main chaak samjha to
wahan par zindagi apni banaani chhod aaya hoon
मैं ऐसे मोड़ पर अपनी कहानी छोड़ आया हूँ
किसी की आँख में पानी ही पानी छोड़ आया हूँ
अभी तो उस से मिलने का बहाना और करना है
अभी तो उस के कमरे में निशानी छोड़ आया हूँ
बस इतना सोच कर ही मुझ को अपने पास तुम रख लो
तुम्हारे वास्ते मैं हुक्मरानी छोड़ आया हूँ
इसी ख़ातिर मिरे चारों तरफ़ फैला है सन्नाटा
कहीं मैं अपने लफ़्ज़ों के मआनी छोड़ आया हूँ
'नदीम' इस गर्दिश-ए-अफ़्लाक को मैं चाक समझा तो
वहाँ पर ज़िंदगी अपनी बनानी छोड़ आया हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha
our suggestion based on Nadeem Bhabha
As you were reading Life Shayari Shayari