haalat-e-haal mein aadaab nahin bhoolta main | हालत-ए-हाल में आदाब नहीं भूलता मैं

  - Nadeem Bhabha

haalat-e-haal mein aadaab nahin bhoolta main
khud ko bhoolun bhi to ahbaab nahin bhoolta main

main abhi ishq nahin haalat-e-eemaan mein hoon
jang karte hue asbaab nahin bhoolta main

jazb karti hui khilqat se mohabbat hai mujhe
chaand ko chhodije taalaab nahin bhoolta main

ai mujhe khwaab dikhaate hue logo sun lo
mera dukh ye hai koi khwaab nahin bhoolta main

paarsaai nahin tanhaai mayassar thi wahan
so tire mimbar-o-mehraab nahin bhoolta main

हालत-ए-हाल में आदाब नहीं भूलता मैं
ख़ुद को भूलूँ भी तो अहबाब नहीं भूलता मैं

मैं अभी इश्क़ नहीं हालत-ए-ईमान में हूँ
जंग करते हुए अस्बाब नहीं भूलता मैं

जज़्ब करती हुई ख़िल्क़त से मोहब्बत है मुझे
चाँद को छोड़िए तालाब नहीं भूलता मैं

ऐ मुझे ख़्वाब दिखाते हुए लोगो सुन लो
मेरा दुख ये है कोई ख़्वाब नहीं भूलता मैं

पारसाई नहीं तन्हाई मयस्सर थी वहाँ
सो तिरे मिम्बर-ओ-मेहराब नहीं भूलता मैं

  - Nadeem Bhabha

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadeem Bhabha

As you were reading Shayari by Nadeem Bhabha

Similar Writers

our suggestion based on Nadeem Bhabha

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari