chahe jaane ki bhi khushi nahin hai | चाहे जाने की भी ख़ुशी नहीं है

  - Nadir Ariz

chahe jaane ki bhi khushi nahin hai
usko khwaahish visaal ki nahin hai

isliye khel se nikal gaya hoon
ye meri jeet ki ghadi nahin hai

hijr ki raat kat nahin rahi dost
aur ye raat aakhiri nahin hai

tum to har shakhs se ye kahte ho
aap se jaan qeemti nahin hai

isse unche pahaad sar kiye hain
jeet mere liye nayi nahin hai

vo bataata raha gadhe ka mujhe
maine us shakhs ki sooni nahin hai

चाहे जाने की भी ख़ुशी नहीं है
उसको ख़्वाहिश विसाल की नहीं है

इसलिए खेल से निकल गया हूँ
ये मिरी जीत की घड़ी नहीं है

हिज्र की रात कट नहीं रही दोस्त
और ये रात आख़िरी नहीं है

तुम तो हर शख़्स से ये कहते हो
आप से जान क़ीमती नहीं है

इससे ऊँचे पहाड़ सर किये हैं
जीत मेरे लिए नई नहीं है

वो बताता रहा गढ़े का मुझे
मैंने उस शख़्स की सुनी नहीं है

  - Nadir Ariz

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Ariz

As you were reading Shayari by Nadir Ariz

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Ariz

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari