main use chaahne waalon mein ghira chhod gaya
yaani us ped ko utna hi ghana chhod gaya
cheezen girti gaeein raaste mein fate thaile se
chor ghaflat mein thikaane ka pata chhod gaya
waapas aane ko tasalli di na seene se laga
koi jaate hue darwaaza khula chhod gaya
sirf aate hue qadmon ke nishaan milte hain
khud kahaan hai jo kinaare pe ghada chhod gaya
saath rakha na palatne diya ghar ki jaanib
koi kashti ko jazeera se laga chhod gaya
मैं उसे चाहने वालों में घिरा छोड़ गया
यानी उस पेड़ को उतना ही घना छोड़ गया
चीज़ें गिरती गईं रस्ते में फटे थैले से
चोर ग़फ़लत में ठिकाने का पता छोड़ गया
वापस आने को तसल्ली दी, न सीने से लगा
कोई जाते हुए दरवाज़ा खुला छोड़ गया
सिर्फ़ आते हुए क़दमों के निशाँ मिलते हैं
ख़ुद कहाँ है जो किनारे पे घड़ा छोड़ गया
साथ रक्खा न पलटने दिया घर की जानिब
कोई कश्ती को जज़ीरे से लगा छोड़ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Ariz
our suggestion based on Nadir Ariz
As you were reading Shama Shayari Shayari