muheeb jungle mein pehle to is tarah kisi jhonpdi ka hona
phir usse uthte dhuen ne baawar karaya hamko kisi ka hona
muhaafizon ki nazar se bachkar uboor karna hai us gali ko
aur ismein gambheer mas'ala hai jagah-jagah raushni ka hona
shikaariyon ne sukoon jungle ka saara barbaad kar diya hai
bahut zaroori hai tarzan ki kisi tarah waapsi ka hona
muqarrira waqt poora hone se pehle uthkar vo jaane lagta
visaal ke rozo-shab bahut mere kaam aaya ghadi ka hona
kahi bhi kartab dikhaana pad jaaye hamko mumkin hai apne fan ka
ham aise jaadugaron ke haathon mein laazmi hai chhadi ka hona
zara si ghaflat se ye na ho raaygaan chali jaaye saari mehnat
shikaar karne se tum yaqeeni banaao pehle chhuri ka hona
main aise maali ke haath saopunga baagh dil ka jise pata ho
shajar ki nashvo-numa mein behtar rahega kitni nami ka hona
मुहीब जंगल में पहले तो इस तरह किसी झोंपड़ी का होना
फिर उससे उठते धुएँ ने बावर कराया हमको किसी का होना
मुहाफ़िज़ों की नज़र से बचकर उबूर करना है उस गली को
और इसमें गम्भीर मसअला है जगह-जगह रौशनी का होना
शिकारियों ने सुकून जंगल का सारा बरबाद कर दिया है
बहुत ज़रूरी है टारज़न की किसी तरह वापसी का होना
मुक़र्रिरा वक़्त पूरा होने से पहले उठकर वो जाने लगता
विसाल के रोज़ो-शब बहुत मेरे काम आया घड़ी का होना
कहीं भी करतब दिखाना पड़ जाये हमको मुमकिन है अपने फ़न का
हम ऐसे जादूगरों के हाथों में लाज़मी है छड़ी का होना
ज़रा सी ग़फ़लत से ये न हो रायगाँ चली जाये सारी मेहनत
शिकार करने से तुम यक़ीनी बनाओ पहले छुरी का होना
मैं ऐसे माली के हाथ सौपूँगा बाग़ दिल का जिसे पता हो
शजर की नश्वो-नुमा में बेहतर रहेगा कितनी नमी का होना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Ariz
our suggestion based on Nadir Ariz
As you were reading Broken Shayari Shayari