hadf pe itne saleeqe se vaar karte hain | हदफ़ पे इतने सलीक़े से वार करते हैं

  - Nadir Ariz

hadf pe itne saleeqe se vaar karte hain
ham ek teer se do-do shikaar karte hain

hamaari bhool pe mahshar bapaa karein ye log
aur apne jurm ko laghzish shumaar karte hain

qadam-qadam pe ana se nipatna padta hai
ham apne aapko mushkil se paar karte hain

ghane darakhton ka main ehtaraam karta hoon
ki ye hamaari fazaa saazgaar karte hain

ik aur rasm rivaayat ka hissa banti hai
ham ik khata ko agar baar baar karte hain

tumhaare vaadon pe naadir khushi hui lekin
ham aazmaate hain phir etibaar karte hain

हदफ़ पे इतने सलीक़े से वार करते हैं
हम एक तीर से दो-दो शिकार करते हैं

हमारी भूल पे महशर बपा करें ये लोग
और अपने जुर्म को लग़्ज़िश शुमार करते हैं

क़दम-क़दम पे अना से निपटना पड़ता है
हम अपने आपको मुश्किल से पार करते हैं

घने दरख़्तों का मैं अहतराम करता हूँ
कि ये हमारी फ़ज़ा साज़गार करते हैं

इक और रस्म रवायत का हिस्सा बनती है
हम इक ख़ता को अगर बार बार करते हैं

तुम्हारे वादों पे ‘नादिर’ ख़ुशी हुई, लेकिन
हम आज़माते हैं फिर एतिबार करते हैं

  - Nadir Ariz

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nadir Ariz

As you were reading Shayari by Nadir Ariz

Similar Writers

our suggestion based on Nadir Ariz

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari