khuda se bhi kab koi furqat kati hai | ख़ुदा से भी कब कोई फ़ुर्क़त कटी है

  - Naeem Sarmad

khuda se bhi kab koi furqat kati hai
shab-e-hijr shab se bhi pehle bani hai

main ik khwaab hoon tera dekha hua hoon
tu ik neend hai mujh mein soi padi hai

havas to nahin hai magar ye thi sach hai
mujhe tujh badan ki tamannaa rahi hai

mujhe is se azaad kar doosri la
ye zanjeer pairo'n mein kam bolti hai

main apne gunaahon pe naadim nahin hoon
ye tauba to teri mohabbat mein ki hai

ख़ुदा से भी कब कोई फ़ुर्क़त कटी है
शब-ए-हिज्र शब से भी पहले बनी है

मैं इक ख़्वाब हूँ तेरा देखा हुआ हूँ
तू इक नींद है मुझ में सोई पड़ी है

हवस तो नहीं है मगर ये थी सच है
मुझे तुझ बदन की तमन्ना रही है

मुझे इस से आज़ाद कर दूसरी ला
ये ज़ंजीर पैरों में कम बोलती है

मैं अपने गुनाहों पे नादिम नहीं हूँ
ये तौबा तो तेरी मोहब्बत में की है

  - Naeem Sarmad

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Sarmad

As you were reading Shayari by Naeem Sarmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Sarmad

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari