ik tire vasl ke liye maula | इक तिरे वस्ल के लिए मौला

  - Naeem Sarmad

ik tire vasl ke liye maula
hijr kaate hain an-gine maula

ik sana-khwan tha mehv-e-hamd-e-yaar
aur ham naachte rahe maula

main jinhen dil pe khaaye firta hoon
tire hisse ke ranj the maula

vo jo tujh se uthe the vo parde
meri hasti pe pad gaye maula

soorat-e-la mein teri soorat ko
ham ne dekha to ham hi the maula

tujh ko ro ro manaaya karte the
tujh se kaise na roothe maula

tere bande bahut kameene hain
hausale past ho gaye maula

इक तिरे वस्ल के लिए मौला
हिज्र काटे हैं अन-गिने मौला

इक सना-ख़्वाँ था महव-ए-हम्द-ए-यार
और हम नाचते रहे मौला

मैं जिन्हें दिल पे खाए फिरता हूँ
तिरे हिस्से के रंज थे मौला

वो जो तुझ से उठे थे वो पर्दे
मेरी हस्ती पे पड़ गए मौला

सूरत-ए-ला में तेरी सूरत को
हम ने देखा तो हम ही थे मौला

तुझ को रो रो मनाया करते थे
तुझ से कैसे न रूठते मौला

तेरे बंदे बहुत कमीने हैं
हौसले पस्त हो गए मौला

  - Naeem Sarmad

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naeem Sarmad

As you were reading Shayari by Naeem Sarmad

Similar Writers

our suggestion based on Naeem Sarmad

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari