kirnon se ghaayal kar dega
chaand mujhe paagal kar dega
uski baatein sunkar dekho
baloo se baadal kar dega
chhukar dekhega halka sa
patthar mein konpal kar dega
geet buneega aise aise
bedi ko paayal kar dega
zyaada bhi dekhoge to phir
aankhon mein halchal kar dega
jaate jaate is basti ko
basti se jungle kar dega
ik baari palkein maari to
saara kuchh ojhal kar dega
किरनों से घायल कर देगा
चाँद मुझे पागल कर देगा
उसकी बातें सुनकर देखो
बालू से बादल कर देगा
छूकर देखेगा हल्का सा
पत्थर में कोंपल कर देगा
गीत बुनेगा ऐसे ऐसे
बेड़ी को पायल कर देगा
ज़्यादा भी देखोगे तो फिर
आँखों में हलचल कर देगा
जाते जाते इस बस्ती को
बस्ती से जंगल कर देगा
इक बारी पलकें मारी तो
सारा कुछ ओझल कर देगा
As you were reading Shayari by nakul kumar
our suggestion based on nakul kumar
As you were reading undefined Shayari