main duniya ki haqeeqat jaanta hoon
kise milti hai shohrat jaanta hoon
meri pehchaan hai sher-o-sukhan se
main apni qadr-o-qeemat jaanta hoon
teri yaadein hain shab-bedaariyaan hain
hai aankhon ko shikaayat jaanta hoon
main rusva ho gaya hoon shahr-bhar mein
magar kis ki badaulat jaanta hoon
ghazal phoolon si dil seharaaon jaisa
main ahl-e-fan ki haalat jaanta hoon
tadap kar aur tarpaaegi mujh ko
shab-e-gham teri fitrat jaanta hoon
sehar hone ko hai aisa lage hai
main suraj ki siyaasat jaanta hoon
diya hai naqsh jo gham zindagi ne
use main apni daulat jaanta hoon
मैं दुनिया की हक़ीक़त जानता हूँ
किसे मिलती है शोहरत जानता हूँ
मिरी पहचान है शेर-ओ-सुख़न से
मैं अपनी क़द्र-ओ-क़ीमत जानता हूँ
तेरी यादें हैं शब-बेदारियाँ हैं
है आँखों को शिकायत जानता हूँ
मैं रुस्वा हो गया हूँ शहर-भर में
मगर किस की बदौलत जानता हूँ
ग़ज़ल फूलों सी दिल सहराओं जैसा
मैं अहल-ए-फ़न की हालत जानता हूँ
तड़प कर और तड़पाएगी मुझ को
शब-ए-ग़म तेरी फ़ितरत जानता हूँ
सहर होने को है ऐसा लगे है
मैं सूरज की सियासत जानता हूँ
दिया है 'नक़्श' जो ग़म ज़िंदगी ने
उसे मैं अपनी दौलत जानता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Naqsh Lyallpuri
our suggestion based on Naqsh Lyallpuri
As you were reading Udasi Shayari Shayari