palat kar dekh lena jab sada dil ki sunaai de | पलट कर देख लेना जब सदा दिल की सुनाई दे

  - Naqsh Lyallpuri

palat kar dekh lena jab sada dil ki sunaai de
meri awaaz mein shaayad mera chehra dikhaai de

muhabbat roshni ka ek lamha hai magar chup hai
kise sham-e-tamanna de kise daag-e-judai de

chubhein aankhon mein bhi aur ruh mein bhi dard ki kirchen
mera dil is tarah todo ke aaina badhaai de

khanak uthe na palkon par kahi jalte hue aansu
tum itna yaad mat aao ke sannaata duhaai de

rahega ban ke beenaai vo murjhaai si aankhon mein
jo boodhe baap ke haathon mein mehnat ki kamaai de

mere daaman ko busat di hai tune dasht-o-dariya ki
main khush hoon dene waale tu mujhe katara ke raai de

kisi ko makhmali bistar pe bhi mushkil se neend aaye
kisi ko naqsh dil ka chain tooti chaarpaai de

पलट कर देख लेना जब सदा दिल की सुनाई दे
मेरी आवाज़ में शायद मेरा चेहरा दिख़ाई दे

मुहब्बत रोशनी का एक लमहा है मगर चुप है
किसे शम-ए-तमन्ना दे किसे दाग़-ए-जुदाई दे

चुभें आँख़ों में भी और रुह में भी दर्द की किरचें
मेरा दिल इस तरह तोड़ो के आईना बधाई दे

खनक उठें न पलकों पर कहीं जलते हुए आँसू
तुम इतना याद मत आओ के सन्नाटा दुहाई दे

रहेगा बन के बीनाई वो मुरझाई सी आँख़ों में
जो बूढ़े बाप के हाथों में मेहनत की कमाई दे

मेरे दामन को बुसअत दी है तूने दश्त-ओ-दरिया की
मैं ख़ुश हूँ देने वाले, तू मुझे कतरा के राई दे

किसी को मख़मली बिस्तर पे भी मुश्किल से नींद आए
किसी को नक़्श दिल का चैन टूटी चारपाई दे

  - Naqsh Lyallpuri

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Naqsh Lyallpuri

As you were reading Shayari by Naqsh Lyallpuri

Similar Writers

our suggestion based on Naqsh Lyallpuri

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari