gham ki dhalvaan tak aaye to khushi tak pahunchen
aadmi ghaat tak aaye to nadi tak pahunchen
ishq mein dil ke ilaaqe se gujarati hai bahaar
dard ahsaas tak aaye to nami tak pahunchen
us ne bachpan mein pareejaan ko bheja tha khat
khat paristaan ko paaye to pari tak pahunchen
uf ye pahre hain ki hain pichhle janam ke dushman
bhanwara guldaan tak aaye to kali tak pahunchen
neend mein kis tarah dekhega sehar yaar mera
vahm ke chor tak aaye to kaddi tak pahunchen
kis ko fursat hai jo harfo ki hararat samjhaay
baat aasaani tak aaye to sabhi tak pahunchen
baithe-baithe ka safar sirf hai khwaabon ka fitoor
jism darwaaze tak aaye to gali tak pahunchen
ग़म की ढलवान तक आये तो ख़ुशी तक पहुँचे
आदमी घाट तक आये तो नदी तक पहुँचे
इश्क़ में दिल के इलाक़े से गुजरती है बहार
दर्द अहसास तक आये तो नमी तक पहुँचे
उस ने बचपन में परीजान को भेजा था ख़त
ख़त परिस्तान को पाये तो परी तक पहुँचे
उफ़ ये पहरे हैं कि हैं पिछले जनम के दुश्मन
भँवरा गुलदान तक आये तो कली तक पहुँचे
नींद में किस तरह देखेगा सहर यार मिरा
वह्म के छोर तक आये तो कड़ी तक पहुँचे
किस को फ़ुरसत है जो हर्फ़ो की हरारत समझाय
बात आसानी तक आये तो सभी तक पहुँचे
बैठे-बैठे का सफ़र सिर्फ़ है ख़्वाबों का फ़ितूर
जिस्म दरवाज़े तक आये तो गली तक पहुँचे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Navin C. Chaturvedi
our suggestion based on Navin C. Chaturvedi
As you were reading Khwab Shayari Shayari