maare vehshat ke ye tasveer bana baithe hain | मारे वहशत के ये तस्वीर बना बैठे हैं

  - Neeraj Neer

maare vehshat ke ye tasveer bana baithe hain
apne hi paanv mein zanjeer bana baithe hain

dil banaane ko kaha tha kabhi usne lekin
ham bhi naadaan faqat teer bana baithe hain

ab mera prashn hai dukh kaun banata hai
laazmi hai vo jo shamsheer bana baithe hain
shamsheer talwaar

aap ke jaise banaate hain nami aankhon mein
mere jaise sabhi nam-geer bana baithe hain
nami sokhne waala

unse pooche koi gham asl mein hota kya hai
dil ki duniya ko jo kashmir bana baithe hain

मारे वहशत के ये तस्वीर बना बैठे हैं
अपने ही पाँव में ज़ंजीर बना बैठे हैं

दिल बनाने को कहा था कभी उसने लेकिन
हम भी नादान फ़क़त तीर बना बैठे हैं

अब मिरा प्रश्न है दुख कौन बनाता है?
लाज़मी है वो जो *शमशीर बना बैठे हैं!
*शमशीर- तलवार

आप के जैसे बनाते हैं नमी आँखों में
मेरे जैसे सभी *नम-गीर बना बैठे हैं
*नमी सोखने वाला

उनसे पूछे कोई ग़म अस्ल में होता क्या है
दिल की दुनिया को जो कश्मीर बना बैठे हैं

  - Neeraj Neer

Tasweer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Neeraj Neer

As you were reading Shayari by Neeraj Neer

Similar Writers

our suggestion based on Neeraj Neer

Similar Moods

As you were reading Tasweer Shayari Shayari