achhi nahin ye khaamoshi shikwa karo gila karo
yun bhi na kar sako to phir ghar mein khuda khuda karo
shohrat bhi us ke saath hai daulat bhi us ke haath hai
khud se bhi vo mile kabhi us ke liye dua karo
dekho ye shehar hai ajab dil bhi nahin hai kam gazab
shaam ko ghar jo aaun main thoda sa saj liya karo
dil mein jise basaao tum chaand use banaao tum
vo jo kahe padha karo jo na kahe suna karo
meri nashisht pe bhi kal aayega koi doosra
tum bhi bana ke raasta mere liye jagah karo
अच्छी नहीं ये ख़ामुशी शिकवा करो गिला करो
यूँ भी न कर सको तो फिर घर में ख़ुदा ख़ुदा करो
शोहरत भी उस के साथ है दौलत भी उस के हाथ है
ख़ुद से भी वो मिले कभी उस के लिए दुआ करो
देखो ये शहर है अजब दिल भी नहीं है कम ग़ज़ब
शाम को घर जो आऊँ मैं थोड़ा सा सज लिया करो
दिल में जिसे बसाओ तुम चाँद उसे बनाओ तुम
वो जो कहे पढ़ा करो जो न कहे सुना करो
मेरी नशिस्त पे भी कल आएगा कोई दूसरा
तुम भी बना के रास्ता मेरे लिए जगह करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Gaon Shayari Shayari