din saleeqe se ugaa raat thikaane se rahi
dosti apni bhi kuchh roz zamaane se rahi
chand lamhon ko hi banti hain musavvir aankhen
zindagi roz to tasveer banaane se rahi
is andhere mein to thokar hi ujaala degi
raat jungle mein koi sham'a jalane se rahi
fasla chaand bana deta hai har patthar ko
door ki raushni nazdeek to aane se rahi
shehar mein sab ko kahaan milti hai rone ki jagah
apni izzat bhi yahan hansne hansaane se rahi
दिन सलीक़े से उगा रात ठिकाने से रही
दोस्ती अपनी भी कुछ रोज़ ज़माने से रही
चंद लम्हों को ही बनती हैं मुसव्विर आँखें
ज़िंदगी रोज़ तो तस्वीर बनाने से रही
इस अँधेरे में तो ठोकर ही उजाला देगी
रात जंगल में कोई शम्अ जलाने से रही
फ़ासला चाँद बना देता है हर पत्थर को
दूर की रौशनी नज़दीक तो आने से रही
शहर में सब को कहाँ मिलती है रोने की जगह
अपनी इज़्ज़त भी यहाँ हँसने हँसाने से रही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Shahr Shayari Shayari