girja mein mandiron mein azaanon mein bat gaya
hote hi subh aadmi khaanon mein bat gaya
ik ishq naam ka jo parinda khala mein tha
utara jo shehar mein to dukano mein bat gaya
pehle talaasha khet phir dariya ki khoj ki
baaki ka waqt gehuun ke daano mein bat gaya
jab tak tha aasmaan mein suraj sabhi ka tha
phir yun hua vo chand makaanon mein bat gaya
hain taak mein shikaari nishaana hain bastiyaan
aalam tamaam chand machaanon mein bat gaya
khabron ne ki musavvari khabren ghazal bani
zinda lahu to teer kamaanon mein bat gaya
गिरजा में मंदिरों में अज़ानों में बट गया
होते ही सुब्ह आदमी ख़ानों में बट गया
इक इश्क़ नाम का जो परिंदा ख़ला में था
उतरा जो शहर में तो दुकानों में बट गया
पहले तलाशा खेत फिर दरिया की खोज की
बाक़ी का वक़्त गेहूँ के दानों में बट गया
जब तक था आसमान में सूरज सभी का था
फिर यूँ हुआ वो चंद मकानों में बट गया
हैं ताक में शिकारी निशाना हैं बस्तियाँ
आलम तमाम चंद मचानों में बट गया
ख़बरों ने की मुसव्वरी ख़बरें ग़ज़ल बनीं
ज़िंदा लहू तो तीर कमानों में बट गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Aasman Shayari Shayari