har ek ghar mein diya bhi jale anaaj bhi ho
agar na ho kahi aisa to ehtijaaj bhi ho
rahegi va'don mein kab tak aseer khush-haali
har ek baar hi kal kyun kabhi to aaj bhi ho
na karte shor-sharaaba to aur kya karte
tumhaare shehar mein kuchh aur kaam-kaaj bhi ho
hukoomaton ko badalna to kuchh muhaal nahin
hukoomatein jo badalta hai vo samaaj bhi ho
badal rahe hain kai aadmi darindon mein
marz puraana hai is ka naya ilaaj bhi ho
akela gham se nayi shaayri nahin hoti
zabaan-e-'meer mein ghalib ka imtizaaj bhi ho
हर एक घर में दिया भी जले अनाज भी हो
अगर न हो कहीं ऐसा तो एहतिजाज भी हो
रहेगी वा'दों में कब तक असीर ख़ुश-हाली
हर एक बार ही कल क्यूँ कभी तो आज भी हो
न करते शोर-शराबा तो और क्या करते
तुम्हारे शहर में कुछ और काम-काज भी हो
हुकूमतों को बदलना तो कुछ मुहाल नहीं
हुकूमतें जो बदलता है वो समाज भी हो
बदल रहे हैं कई आदमी दरिंदों में
मरज़ पुराना है इस का नया इलाज भी हो
अकेले ग़म से नई शाइरी नहीं होती
ज़बान-ए-'मीर' में 'ग़ालिब' का इम्तिज़ाज भी हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Bimari Shayari Shayari