koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf | कोई किसी की तरफ़ है कोई किसी की तरफ़ - Nida Fazli

koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf
kahaan hai shehar mein ab koi zindagi ki taraf

sabhi ki nazaron mein ghaaeb tha jo vo haazir tha
kisi ne ruk ke nahin dekha aadmi ki taraf

tamaam shehar ki shamaein usi se raushan theen
kabhi ujaala bahut tha kisi gali ki taraf

kahi ki bhook ho har khet us ka apna hai
kahi ki pyaas ho jaayegi vo nadi ki taraf

na nikle khair se allaama qaul se baahar
yagaana toot gaye jab chale khudi ki taraf

कोई किसी की तरफ़ है कोई किसी की तरफ़
कहाँ है शहर में अब कोई ज़िंदगी की तरफ़

सभी की नज़रों में ग़ाएब था जो वो हाज़िर था
किसी ने रुक के नहीं देखा आदमी की तरफ़

तमाम शहर की शमएँ उसी से रौशन थीं
कभी उजाला बहुत था किसी गली की तरफ़

कहीं की भूक हो हर खेत उस का अपना है
कहीं की प्यास हो जाएगी वो नदी की तरफ़

न निकले ख़ैर से अल्लामा क़ौल से बाहर
'यगाना' टूट गए जब चले ख़ुदी की तरफ़

- Nida Fazli
0 Likes

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari