kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta | कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता

  - Nida Fazli

kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin milta
kahi zameen kahi aasmaan nahin milta

tamaam shehar mein aisa nahin khuloos na ho
jahaan umeed ho is ki wahan nahin milta

kahaan charaagh jalaaen kahaan gulaab rakhen
chaten to milti hain lekin makaan nahin milta

ye kya azaab hai sab apne aap mein gum hain
zabaan mili hai magar ham-zabaan nahin milta

charaagh jalte hi beenaai bujhne lagti hai
khud apne ghar mein hi ghar ka nishaan nahin milta

कभी किसी को मुकम्मल जहाँ नहीं मिलता
कहीं ज़मीन कहीं आसमाँ नहीं मिलता

तमाम शहर में ऐसा नहीं ख़ुलूस न हो
जहाँ उमीद हो इस की वहाँ नहीं मिलता

कहाँ चराग़ जलाएँ कहाँ गुलाब रखें
छतें तो मिलती हैं लेकिन मकाँ नहीं मिलता

ये क्या अज़ाब है सब अपने आप में गुम हैं
ज़बाँ मिली है मगर हम-ज़बाँ नहीं मिलता

चराग़ जलते ही बीनाई बुझने लगती है
ख़ुद अपने घर में ही घर का निशाँ नहीं मिलता

  - Nida Fazli

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari