thehre jo kahi aankh tamasha nazar aaye
suraj mein dhuaan chaand mein sehra nazar aaye
raftaar se taabinda umeedon ke jharoke
thehroon to har ik samt andhera nazar aaye
saancho mein dhale qahqahe sochi hui baatein
har shakhs ke kaandhon pe janaaza nazar aaye
har raahguzar raasta bhoola hua baalak
har haath mein mitti ka khilauna nazar aaye
khoi hain abhi main ke dhundlakon mein nigaahen
hat jaaye ye deewaar to duniya nazar aaye
jis se bhi milen jhuk ke milen hans ke hon ruksat
akhlaaq bhi is shehar mein pesha nazar aaye
ठहरे जो कहीं आँख तमाशा नज़र आए
सूरज में धुआँ चाँद में सहरा नज़र आए
रफ़्तार से ताबिंदा उमीदों के झरोके
ठहरूँ तो हर इक सम्त अँधेरा नज़र आए
साँचों में ढले क़हक़हे सोची हुई बातें
हर शख़्स के काँधों पे जनाज़ा नज़र आए
हर राहगुज़र रास्ता भूला हुआ बालक
हर हाथ में मिट्टी का खिलौना नज़र आए
खोई हैं अभी मैं के धुँदलकों में निगाहें
हट जाए ये दीवार तो दुनिया नज़र आए
जिस से भी मिलें झुक के मिलें हँस के हों रुख़्सत
अख़्लाक़ भी इस शहर में पेशा नज़र आए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Aankhein Shayari Shayari