jitni buri kahi jaati hai utni buri nahin hai duniya
bacchon ke school mein shaayad tum se mili nahin hai duniya
chaar gharo ke ek mohalle ke baahar bhi hai aabaadi
jaisi tumhein dikhaai di hai sab ki wahi nahin hai duniya
ghar mein hi mat use sajaao idhar udhar bhi le ke jaao
yun lagta hai jaise tum se ab tak khuli nahin hai duniya
bhag rahi hai gend ke peeche jaag rahi hai chaand ke neeche
shor bhare kaale naaron se ab tak dari nahin hai duniya
जितनी बुरी कही जाती है उतनी बुरी नहीं है दुनिया
बच्चों के स्कूल में शायद तुम से मिली नहीं है दुनिया
चार घरों के एक मोहल्ले के बाहर भी है आबादी
जैसी तुम्हें दिखाई दी है सब की वही नहीं है दुनिया
घर में ही मत उसे सजाओ इधर उधर भी ले के जाओ
यूँ लगता है जैसे तुम से अब तक खुली नहीं है दुनिया
भाग रही है गेंद के पीछे जाग रही है चाँद के नीचे
शोर भरे काले नारों से अब तक डरी नहीं है दुनिया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Bachpan Shayari Shayari