do chaar gaam raah ko hamvaar dekhna
phir har qadam pe ik nayi deewaar dekhna
aankhon ki raushni se hai har sang aaina
har aaine mein khud ko gunahgaar dekhna
har aadmi mein hote hain das bees aadmi
jis ko bhi dekhna ho kai baar dekhna
maidaan ki haar jeet to qismat ki baat hai
tooti hai kis ke haath mein talwaar dekhna
dariya ke is kinaare sitaare bhi phool bhi
dariya chadha hua ho to us paar dekhna
achhi nahin hai shehar ke raston se dosti
aangan mein phail jaaye na bazaar dekhna
दो चार गाम राह को हमवार देखना
फिर हर क़दम पे इक नई दीवार देखना
आँखों की रौशनी से है हर संग आईना
हर आइने में ख़ुद को गुनहगार देखना
हर आदमी में होते हैं दस बीस आदमी
जिस को भी देखना हो कई बार देखना
मैदाँ की हार जीत तो क़िस्मत की बात है
टूटी है किस के हाथ में तलवार देखना
दरिया के इस किनारे सितारे भी फूल भी
दरिया चढ़ा हुआ हो तो उस पार देखना
अच्छी नहीं है शहर के रस्तों से दोस्ती
आँगन में फैल जाए न बाज़ार देखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Aangan Shayari Shayari