jab se qareeb ho ke chale zindagi se ham
khud apne aaine ko lage ajnabi se ham
kuchh door chal ke raaste sab ek se lage
milne gaye kisi se mil aaye kisi se ham
achhe bure ke farq ne basti ujaad di
majboor ho ke milne lage har kisi se ham
shaista mehfilon ki fazaaon mein zahar tha
zinda bache hain zehan ki aawaargi se ham
achhi bhali thi duniya guzaare ke vaaste
uljhe hue hain apni hi khud-aagahi se ham
jungle mein door tak koi dushman na koi dost
maanoos ho chale hain magar bombay se ham
जब से क़रीब हो के चले ज़िंदगी से हम
ख़ुद अपने आइने को लगे अजनबी से हम
कुछ दूर चल के रास्ते सब एक से लगे
मिलने गए किसी से मिल आए किसी से हम
अच्छे बुरे के फ़र्क़ ने बस्ती उजाड़ दी
मजबूर हो के मिलने लगे हर किसी से हम
शाइस्ता महफ़िलों की फ़ज़ाओं में ज़हर था
ज़िंदा बचे हैं ज़ेहन की आवारगी से हम
अच्छी भली थी दुनिया गुज़ारे के वास्ते
उलझे हुए हैं अपनी ही ख़ुद-आगही से हम
जंगल में दूर तक कोई दुश्मन न कोई दोस्त
मानूस हो चले हैं मगर बम्बई से हम
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Duniya Shayari Shayari