dariya ho ya pahaad ho takraana chahiye
jab tak na saans toote jiye jaana chahiye
yun to qadam qadam pe hai deewaar saamne
koi na ho to khud se uljh jaana chahiye
jhukti hui nazar ho ki simtaa hua badan
har ras-bhari ghatta ko baras jaana chahiye
chaurahe baagh buildingein sab shehar to nahin
kuchh aise vaise logon se yaaraana chahiye
apni talash apni nazar apna tajurba
rasta ho chahe saaf bhatk jaana chahiye
chup chup makaan raaste gum-sum nidhaal waqt
is shehar ke liye koi deewaana chahiye
bijli ka qumquma na ho kaala dhuaan to ho
ye bhi agar nahin ho to bujh jaana chahiye
दरिया हो या पहाड़ हो टकराना चाहिए
जब तक न साँस टूटे जिए जाना चाहिए
यूँ तो क़दम क़दम पे है दीवार सामने
कोई न हो तो ख़ुद से उलझ जाना चाहिए
झुकती हुई नज़र हो कि सिमटा हुआ बदन
हर रस-भरी घटा को बरस जाना चाहिए
चौराहे बाग़ बिल्डिंगें सब शहर तो नहीं
कुछ ऐसे वैसे लोगों से याराना चाहिए
अपनी तलाश अपनी नज़र अपना तजरबा
रस्ता हो चाहे साफ़ भटक जाना चाहिए
चुप चुप मकान रास्ते गुम-सुम निढाल वक़्त
इस शहर के लिए कोई दीवाना चाहिए
बिजली का क़ुमक़ुमा न हो काला धुआँ तो हो
ये भी अगर नहीं हो तो बुझ जाना चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Badan Shayari Shayari