zameen di hai to thoda sa aasmaan bhi de | ज़मीं दी है तो थोड़ा सा आसमाँ भी दे

  - Nida Fazli

zameen di hai to thoda sa aasmaan bhi de
mere khuda mere hone ka kuchh gumaan bhi de

bana ke but mujhe beenaai ka azaab na de
ye hi azaab hai qismat to phir zabaan bhi de

ye kaayenaat ka failaav to bahut kam hai
jahaan samaa sake tanhaai vo makaan bhi de

main apne aap se kab tak kiya karoon baatein
meri zabaan ko bhi koi tarjumaan bhi de

falak ko chaand-sitaare nawaazne waale
mujhe charaagh jalane ko saaebaan bhi de

ज़मीं दी है तो थोड़ा सा आसमाँ भी दे
मिरे ख़ुदा मिरे होने का कुछ गुमाँ भी दे

बना के बुत मुझे बीनाई का अज़ाब न दे
ये ही अज़ाब है क़िस्मत तो फिर ज़बाँ भी दे

ये काएनात का फैलाव तो बहुत कम है
जहाँ समा सके तन्हाई वो मकाँ भी दे

मैं अपने आप से कब तक किया करूँ बातें
मिरी ज़बाँ को भी कोई तर्जुमाँ भी दे

फ़लक को चांद-सितारे नवाज़ने वाले
मुझे चराग़ जलाने को साएबाँ भी दे

  - Nida Fazli

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari