mutthi bhar logon ke haathon mein laakhon ki taqdeeren hain | मुट्ठी भर लोगों के हाथों में लाखों की तक़दीरें हैं

  - Nida Fazli

mutthi bhar logon ke haathon mein laakhon ki taqdeeren hain
juda juda hain dharm ilaaqe ek si lekin zanjeeren hain

aaj aur kal ki baat nahin hai sadiyon ki taarikh yahi hai
har aangan mein khwaab hain lekin chand gharo mein taabirein hain

jab bhi koi takht saja hai mera tera khoon baha hai
darbaaron ki shaan-o-shaukat maidaanon ki shamshirein hain

har jungle ki ek kahaani vo hi bhent wahi qurbaani
goongi bahri saari bhed'en charvaahein ki jaageerain hain

मुट्ठी भर लोगों के हाथों में लाखों की तक़दीरें हैं
जुदा जुदा हैं धर्म इलाक़े एक सी लेकिन ज़ंजीरें हैं

आज और कल की बात नहीं है सदियों की तारीख़ यही है
हर आँगन में ख़्वाब हैं लेकिन चंद घरों में ताबीरें हैं

जब भी कोई तख़्त सजा है मेरा तेरा ख़ून बहा है
दरबारों की शान-ओ-शौकत मैदानों की शमशीरें हैं

हर जंगल की एक कहानी वो ही भेंट वही क़ुर्बानी
गूँगी बहरी सारी भेड़ें चरवाहों की जागीरें हैं

  - Nida Fazli

Mazhab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Mazhab Shayari Shayari