har taraf har jagah be-shumaar aadmi | हर तरफ़ हर जगह बे-शुमार आदमी

  - Nida Fazli

har taraf har jagah be-shumaar aadmi
phir bhi tanhaaiyon ka shikaar aadmi

subh se shaam tak bojh dhota hua
apni hi laash ka khud mazaar aadmi

har taraf bhaagte daudte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi

roz jeeta hua roz marta hua
har naye din naya intizaar aadmi

ghar ki dahleez se gehuun ke khet tak
chalta firta koi kaarobaar aadmi

zindagi ka muqaddar safar-dar-safar
aakhiri saans tak be-qaraar aadmi

हर तरफ़ हर जगह बे-शुमार आदमी
फिर भी तन्हाइयों का शिकार आदमी

सुब्ह से शाम तक बोझ ढोता हुआ
अपनी ही लाश का ख़ुद मज़ार आदमी

हर तरफ़ भागते दौड़ते रास्ते
हर तरफ़ आदमी का शिकार आदमी

रोज़ जीता हुआ रोज़ मरता हुआ
हर नए दिन नया इंतिज़ार आदमी

घर की दहलीज़ से गेहूँ के खेत तक
चलता फिरता कोई कारोबार आदमी

ज़िंदगी का मुक़द्दर सफ़र-दर-सफ़र
आख़िरी साँस तक बे-क़रार आदमी

  - Nida Fazli

Intezaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Intezaar Shayari Shayari