koi hindu koi muslim koi eesaai hai
sab ne insaan na banne ki qasam khaai hai
itni khun-khaar na theen pehle ibadat-gaahein
ye aqeede hain ki insaan ki tanhaai hai
teen chauthaai se zaaid hain jo aabaadi mein
un ke hi vaaste har bhook hai mehngaai hai
dekhe kab talak baaki rahe saj-dhaj us ki
aaj jis chehra se tasveer utarvaai hai
ab nazar aata nahin kuchh bhi dukano ke siva
ab na baadal hain na chidiyaan hain na purvaai hai
कोई हिन्दू कोई मुस्लिम कोई ईसाई है
सब ने इंसान न बनने की क़सम खाई है
इतनी ख़ूँ-ख़ार न थीं पहले इबादत-गाहें
ये अक़ीदे हैं कि इंसान की तन्हाई है
तीन चौथाई से ज़ाइद हैं जो आबादी में
उन के ही वास्ते हर भूक है महँगाई है
देखे कब तलक बाक़ी रहे सज-धज उस की
आज जिस चेहरा से तस्वीर उतरवाई है
अब नज़र आता नहीं कुछ भी दुकानों के सिवा
अब न बादल हैं न चिड़ियाँ हैं न पुर्वाई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Chehra Shayari Shayari