be-naam sa ye dard thehar kyun nahin jaata
jo beet gaya hai vo guzar kyun nahin jaata
sab kuchh to hai kya dhoondhti rahti hain nigaahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jaata
vo ek hi chehra to nahin saare jahaan mein
jo door hai vo dil se utar kyun nahin jaata
main apni hi uljhi hui raahon ka tamasha
jaate hain jidhar sab main udhar kyun nahin jaata
vo khwaab jo barson se na chehra na badan hai
vo khwaab hawaon mein bikhar kyun nahin jaata
बे-नाम सा ये दर्द ठहर क्यूँ नहीं जाता
जो बीत गया है वो गुज़र क्यूँ नहीं जाता
सब कुछ तो है क्या ढूँढती रहती हैं निगाहें
क्या बात है मैं वक़्त पे घर क्यूँ नहीं जाता
वो एक ही चेहरा तो नहीं सारे जहाँ में
जो दूर है वो दिल से उतर क्यूँ नहीं जाता
मैं अपनी ही उलझी हुई राहों का तमाशा
जाते हैं जिधर सब मैं उधर क्यूँ नहीं जाता
वो ख़्वाब जो बरसों से न चेहरा न बदन है
वो ख़्वाब हवाओं में बिखर क्यूँ नहीं जाता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Aah Shayari Shayari