na jaane kaun sa manzar nazar mein rehta hai | न जाने कौन सा मंज़र नज़र में रहता है - Nida Fazli

na jaane kaun sa manzar nazar mein rehta hai
tamaam umr musaafir safar mein rehta hai

ladai dekhe hue dushmanon se mumkin hai
magar vo khauf jo deewar-o-dar mein rehta hai

khuda to maalik-o-mukhtaari hai kahi bhi rahe
kabhi bashar mein kabhi jaanwar mein rehta hai

ajeeb daur hai ye tay-shuda nahin kuch bhi
na chaand shab mein na suraj sehar mein rehta hai

jo milna chaaho to mujh se milo kahi baahar
vo koi aur hai jo mere ghar mein rehta hai

badalna chaaho to duniya badal bhi sakti hai
ajab futuur sa har waqt sar mein rehta hai

न जाने कौन सा मंज़र नज़र में रहता है
तमाम उम्र मुसाफ़िर सफ़र में रहता है

लड़ाई देखे हुए दुश्मनों से मुमकिन है
मगर वो ख़ौफ़ जो दीवार-ओ-दर में रहता है

ख़ुदा तो मालिक-ओ-मुख़्तार है कहीं भी रहे
कभी बशर में कभी जानवर में रहता है

अजीब दौर है ये तय-शुदा नहीं कुछ भी
न चाँद शब में न सूरज सहर में रहता है

जो मिलना चाहो तो मुझ से मिलो कहीं बाहर
वो कोई और है जो मेरे घर में रहता है

बदलना चाहो तो दुनिया बदल भी सकती है
अजब फ़ुतूर सा हर वक़्त सर में रहता है

- Nida Fazli
0 Likes

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari