kisi bhi shehar mein jaao kahi qayaam karo
koi fazaa koi manzar kisi ke naam karo
dua salaam zaroori hai shehar waalon se
magar akela mein apna bhi ehtiraam karo
hamesha amn nahin hota faakhtaon mein
kabhi-kabhaar uqaabon se bhi kalaam karo
har ek basti badalti hai rang-roop kai
jahaan bhi subh guzaaro udhar hi shaam karo
khuda ke hukm se shaitaan bhi hai aadam bhi
vo apna kaam karega tum apna kaam karo
किसी भी शहर में जाओ कहीं क़याम करो
कोई फ़ज़ा कोई मंज़र किसी के नाम करो
दुआ सलाम ज़रूरी है शहर वालों से
मगर अकेले में अपना भी एहतिराम करो
हमेशा अम्न नहीं होता फ़ाख़्ताओं में
कभी-कभार उक़ाबों से भी कलाम करो
हर एक बस्ती बदलती है रंग-रूप कई
जहाँ भी सुब्ह गुज़ारो उधर ही शाम करो
ख़ुदा के हुक्म से शैतान भी है आदम भी
वो अपना काम करेगा तुम अपना काम करो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Peace Shayari Shayari