neel-gagan mein tair raha hai ujla ujla poora chaand | नील-गगन में तैर रहा है उजला उजला पूरा चाँद

  - Nida Fazli

neel-gagan mein tair raha hai ujla ujla poora chaand
maa ki lori sa bacche ke doodh katore jaisa chaand

munni ki bholi baaton si chatkiin taaron ki kaliyaan
pappoo ki khaamoshi sharaarat sa chhup chhup kar ubhara chaand

mujh se poocho kaise kaatee main ne parbat jaisi raat
tum ne to godi mein le kar ghanton chooma hoga chaand

pardesi sooni aankhon mein sholay se lehraate hain
bhaabi ki chedon sa baadal aapa ki chutki sa chaand

tum bhi likhna tum ne us shab kitni baar piya paani
tum ne bhi to chhajje oopar dekha hoga poora chaand

नील-गगन में तैर रहा है उजला उजला पूरा चाँद
माँ की लोरी सा बच्चे के दूध कटोरे जैसा चाँद

मुन्नी की भोली बातों सी चटकीं तारों की कलियाँ
पप्पू की ख़ामोशी शरारत सा छुप छुप कर उभरा चाँद

मुझ से पूछो कैसे काटी मैं ने पर्बत जैसी रात
तुम ने तो गोदी में ले कर घंटों चूमा होगा चाँद

परदेसी सूनी आँखों में शो'ले से लहराते हैं
भाबी की छेड़ों सा बादल आपा की चुटकी सा चाँद

तुम भी लिखना तुम ने उस शब कितनी बार पिया पानी
तुम ने भी तो छज्जे ऊपर देखा होगा पूरा चाँद

  - Nida Fazli

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari