ab khushi hai na koi dard rulaane waala | अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला

  - Nida Fazli

ab khushi hai na koi dard rulaane waala
ham ne apna liya har rang zamaane waala

ek be-chehra si ummeed hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane waala

us ko ruksat to kiya tha mujhe ma'aloom na tha
saara ghar le gaya ghar chhod ke jaane waala

door ke chaand ko dhoondo na kisi aanchal mein
ye ujaala nahin aangan mein samaane waala

ik musaafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi mein koi der se jaane waala

अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला
हम ने अपना लिया हर रंग ज़माने वाला

एक बे-चेहरा सी उम्मीद है चेहरा चेहरा
जिस तरफ़ देखिए आने को है आने वाला

उस को रुख़्सत तो किया था मुझे मा'लूम न था
सारा घर ले गया घर छोड़ के जाने वाला

दूर के चाँद को ढूँडो न किसी आँचल में
ये उजाला नहीं आँगन में समाने वाला

इक मुसाफ़िर के सफ़र जैसी है सब की दुनिया
कोई जल्दी में कोई देर से जाने वाला

  - Nida Fazli

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari