aayega koi chal ke khizaan se bahaar mein
sadiyaan guzar gai hain isee intizaar mein
chhidte hi saaz-e-bazm mein koi na tha kahi
vo kaun tha jo bol raha tha sitaar mein
ye aur baat hai koi mahke koi chubhe
gulshan to jitna gul mein hai utna hai khaar mein
apni tarah se duniya badlne ke vaaste
mera hi ek ghar hai mere ikhtiyaar mein
tishna-labi ne ret ko dariya bana diya
paani kahaan tha warna kisi reg-zaar mein
masroof gorkun ko bhi shaayad pata nahin
vo khud khada hua hai qaza ki qataar mein
आएगा कोई चल के ख़िज़ाँ से बहार में
सदियाँ गुज़र गई हैं इसी इंतिज़ार में
छिड़ते ही साज़-ए-बज़्म में कोई न था कहीं
वो कौन था जो बोल रहा था सितार में
ये और बात है कोई महके कोई चुभे
गुलशन तो जितना गुल में है उतना है ख़ार में
अपनी तरह से दुनिया बदलने के वास्ते
मेरा ही एक घर है मिरे इख़्तियार में
तिश्ना-लबी ने रेत को दरिया बना दिया
पानी कहाँ था वर्ना किसी रेग-ज़ार में
मसरूफ़ गोरकन को भी शायद पता नहीं
वो ख़ुद खड़ा हुआ है क़ज़ा की क़तार में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Dariya Shayari Shayari