dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho | धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो

  - Nida Fazli

dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitaabon ko hata kar dekho

sirf aankhon se hi duniya nahin dekhi jaati
dil ki dhadkan ko bhi beenaai bana kar dekho

pattharon mein bhi zabaan hoti hai dil hote hain
apne ghar ke dar-o-deewar saja kar dekho

vo sitaara hai chamakne do yun hi aankhon mein
kya zaroori hai use jism bana kar dekho

fasla nazaron ka dhoka bhi to ho saka hai
vo mile ya na mile haath badha kar dekho

धूप में निकलो घटाओं में नहा कर देखो
ज़िंदगी क्या है किताबों को हटा कर देखो

सिर्फ़ आँखों से ही दुनिया नहीं देखी जाती
दिल की धड़कन को भी बीनाई बना कर देखो

पत्थरों में भी ज़बाँ होती है दिल होते हैं
अपने घर के दर-ओ-दीवार सजा कर देखो

वो सितारा है चमकने दो यूँ ही आँखों में
क्या ज़रूरी है उसे जिस्म बना कर देखो

फ़ासला नज़रों का धोका भी तो हो सकता है
वो मिले या न मिले हाथ बढ़ा कर देखो

  - Nida Fazli

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari